Uske wajood mein hi shamil hai
meri poori kainaat
Toh kya hua gar uski kainaat mein
mera wajood shamil nahi
Riste hue ghaavon par woh marham
lagata hai aksar
Toh kya hua gar naye ghaav uske
nakhoono se pad gaye
Aaj bhi unhi puraane rishtoon
mein jetee hoon main
Toh kya hua gar ab un rishtoon ke mayne badal gaye
Mera yaar hai mera rab aur mera rab hai mera yaar
Toh kya hua gar hum apne nakhuda ko khuda keh gaye
Ishq hai hadd se savaa, aur parwaan chadta jata hai
Toh kya hua gar iss junoon ki intehaa se woh vakif nahi
Uske wajood mein hi shamil hai
meri poori kainaat
Toh kya hua gar uski kainaat mein
mera wajood shamil nahi
No comments:
Post a Comment